Thursday , 21 November 2024
Beautiful inspirational messages great meaning by Pablo Neruda
Home » Aaj Ka Anmol Vachan in Hindi » Motivational Story in Hindi with Moral – Latest Inspirational Stories

Motivational Story in Hindi with Moral – Latest Inspirational Stories

Motivational Story in Hindi with Moral - Latest Inspirational Stories, Images, Wallpapers, Photos, PicturesEk baar Mohammad Sahib apne ghode (horse) pe kahin ja rahe the..
Beech me hi unki Namaz ka time ho gaya..
raste me unhe ek aadmi mila.
Mohammad Sahib ne us aadmi se kaha ke bhai meri namaz ka time ho gaya hai kirpa kar ke thodi der ke liye mere ghode ka khayal rakhna mai namaz aada kar ke aata hu..
Aadmi ruk gaya aur Mohammad Sahib namaz aada karne chale gaye.
Ghode pe Chamde (leather) ki Kathi (Seat) lagi thi..
Aadmi ke man me chor aa gaya..
Wo ghode ko paas ke bazaar me le gaya aur Kathi bech di..

Kathi bech ke use 2 aane (purane time ke paise) mile..
Wo ghode ko lekar phir wahin aa kar Khada ho gaya.
Udhar Mohammad Sahib Namaz aada kar ke aate hai aur raste me sochte hai ke Kyu na mai us aadmi ko 2 aane inaam me de du..
Jab aate hai to kya dekhte hai ke ghode ki kathi nahi hai puchhte hai us se to wo aadmi jhooth bol deta hai ke Kathi to thi hi nahi..

Mohammad Sahib to jaani jaan the wo kehte hai bhale aadmi milne to tujhe 2 aane hi the par jo maine tujhe 2 aane dene the wo teri imandaari ke hote aur usme bahut barkat honi thi aur jo tune aise chori kar ke liye hai ye teri beimaani ke hai aur najayz hai..

Moral: Hamari kismet me jo likha hai wo hame milna hi hai par ye hame dekhna hai ke hum sabar kar ke use imandaari se lete hai ya time se pehle beyimani se hasil karte hai…

Also Read:  Gautam Buddha Quotes in Hindi - Suvichar - Anmol Vachan

—————– agar aachi lage to Share kare —————




Share this:

Check Also

Beautiful Inspirational Messages with great meaning

Beautiful Inspirational Messages with great meaning You start dying slowly – By Pablo Neruda You …

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.